Jaane Kitni Der Chalegi Sath Mere Chamkili Dhup

jaane kitnī der chalegī saath mire chamkīlī dhuup

aane vaalā mausam laa.e shāyad giilī giilī dhuup

qarya qarya kaañp rahā hai sard havā ke jhoñkoñ se

kitne āñgan garmā.egī tanhā ek akelī dhuup

chanchal shoḳh-adā kirneñ to duur dishā tak jā pahuñchīñ

baiThī ḳhud ko kos rahī hai āñgan kī sharmīlī dhuup

azmat kī mustahkam choTī shāyad us ko raas na aa.ī

har chaukhaT ko chhūne niklī shohrat kī rañgīlī dhuup

ham ne apnī hirs-o-havas ko baḳhshī itnī tābānī

ab kī sadī meñ shāyad phaile bastī meñ zahrīlī dhuup

Leave a Comment