jaane kis ḳhaak se bana hai vo
jhuuT par jhuuT bolta hai vo
aadi mujrim hain ham mohabbat ke
ham se puchho kahan bika hai vo
laḌ ke massage karega suuri ka
aise pahle bhi kar chuka hai vo
kya hamen bhi muaaf kar dega
rakh-rakhav to janta hai vo
us kamine ki baat karte ho
ḳhair ham ko to manta hai vo
kuuza ḳhud bol kar bata.ega
chahaton se bana hua hai vo
har kisi se nahin lagata dil
yaar itna to parsa hai vo
main ne siine laga ke chuma nahin
‘kamil’ is baat par ḳhafa hai vo
Leave a Reply