ghabra ga.e the raah ko pur-ḳhar dekh kar
himmat bandhi hai qafila-e-salar dekh kar
logon ko un pe aaj bhi hai rashk aa raha
be-dam bik ga.e jo ḳharidar dekh kar
aaqa tumhare dam se hai rangini-e-hayat
ham ji rahe hain barish-e-anvar dekh kar
chhanv men koi jal raha hai ye ḳhabar na thi
aa.e the ham to saya-e-divar dekh kar
phir lauT kar na ja sake is rahguzar se
Thahre the yunhi zinat-e-bazar dekh kar
har zaḳhm ab gulab ki manind surḳh hai
ji ḳhush hua hai shiddat-e-azar dekh kar
Leave a Reply