jaan gae to maan liya
yuun tujh ko pahchan liya
duniya bhedon vaali ne
kaisa parda taan liya
dil valon ki basti se
tu ne kya saman liya
mushkil se hal hota hai
qissa jo asan liya
kya manen ham dil ki baat
dil bhi to nadan liya
manzil phir bhi duur rahi
sahraon ko chhan liya
mithe mithe bolon ka
dil ne kaisa daan liya
Leave a Reply