hamara dilbar-e-gulfam aaya
qrar-e-jan-e-be-aram aaya
kamand-e-pech-o-tab-e-zulf kuun khol
shikar-e-dil kuun le kar daam aaya
shitabi hosh kuun sar siin badar kar
junun ka mujh taraf paigham aaya
kare ta-bulbul-e-dil kuun ghazal-khvan
bahar-e-ishq ka hangam aaya
ai zahid bhaag is zulf-e-siyah siin
ye kafir dushman-e-islam aaya
birah ke mahke siin qatl-e-dil par
piyada gham ka le ealam aaya
hui josh-e-mohabbat siin zaban band
sanam ka darmiyan jab naam aaya
bala hai tujh nigah ki saif ka vaar
dil-e-betab akhir kaam aaya
‘siraj’ aane men us jadu-nazar ke
shakeb o taqat o aram aaya
Leave a Reply