Qarar Dida-O-Dil Mein Raha Nahin Hai Bahut

qarār dīda-o-dil meñ rahā nahīñ hai bahut

nazar-navāz mire koī gul surīñ hai bahut

rakhā na ho kisī ḳhvāhish ne sar ba-ḳhūñ is ko

tumhārā hoñT ka.ī din se ātishīñ hai bahut

milā nahīñ hai mujhe vo magar patā hai mujhe

vo dūsroñ ke liye bhī bachā nahīñ hai bahut

khulā na ek bhī dar sar-kashīdgī pe mirī

huā huuñ ḳhaak to dāman-kushā zamīñ hai bahut

rakhā huā thā sar-e-tāq-e-dil ik ā.īna

bahut dinoñ se koī ā.ina-nashīñ hai bahut

tumhārā husn hī sho.ala-fazā nahīñ hai mujhe

mirā lahū bhī ka.ī din se ātishīñ hai bahut

maiñ lahr lahr use jism-o-jāñ pe oḌhtā huuñ

ġhilāf aisā tirā lams-e-maḳhmalīñ hai bahut

Leave a Comment