• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bas Yahi to Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka

Bas Yahi to Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka

bas yahi to mudda.a hai aap ke irshad ka

‘shad’ kis ne naam rakkha ashiq-e-nashad ka

lijiye hazir hai nazrana dil-e-nashad ka

Talna asan na tha kuchh aap ke irshad ka

barq samjha hai jise saara zamana dekhiye

asman par chaḌh gaya lachha miri fariyad ka

hashr se ishq-e-nihan ki aur shohrat ho ga.i

ek aalam qissa-ḳhvan nikla miri rudad ka

be-ta.alluq ho ke rahna bagh-e-alam men muhal

pa-ba-gul hona to dekho sarv se azad ka

baghban sayyad gulchin sab ke sab dekha kiye

ashiyan ujḌa kiya ik ḳhanaman-barbad ka

tark-e-ulfat par jo main zinda raha ghabra ga.e

DhunDte hain ab naya pahlu koi bedad ka

zikr-e-dushman par mujhe jhuTlane vaale phir tu kah

tum ho muztar kya bharosa hai tumhari yaad ka

garmi-e-dagh-e-jigar se mom ho kar bah gaya

tum usi ḳhanjar ko samjhe the ki hai faulad ka

aankh se kuchh ho ishara kuchh tabassum lab pe ho

‘shad’ karna kuchh nahin mushkil dil-e-nashad ka

teri sab sunte hain meri koi sunta hi nahin

kis se ro.uun ja ke ab dukhḌa tiri bedad ka

‘shad’ yakta-e-jahan hai aap ke sar ki qasam

dekh lena ja-nashin hoga yahi ustad ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ameer Khasro

Ban Ke Panchhi Bhae Bawre Aisi Bin Bajai Sanware

Sufi

Mujhse Meri Hayat Ruth Gai

pahaDon Ki Bulandi Par khaDa Hun

Ye Marhala Hai Mere Aazmae Jaane Ka

ahmad-faraz

Bhed Paen To Rah-E-Yar Mein Gum Ho Jaen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet