ja ke phir lauT jo aa.e vo zamana kaisa
teri a.ankhon ne ye chheḌa hai fasana kaisa
aankh sarshar-e-tamanna hai to va.ada kar le
chaal kahti hai ki ab lauT ke aana kaisa
mujh se kahta hai ki saa.e ki tarah saath hain ham
yuun na milne ka nikala hai bahana kaisa
us ka shikva to nahin hai na mile tum ham se
ranj us ka hai ki tum ne hamen jaana kaisa
ḳhud bhi socha tha bahut us ne bhi puchha tha bahut
haal jab ḳhud hi na samjhe to sunana kaisa
tujh ko paane ki havas thi so kise tha ma.alum
apne hi aap ko kho baiThenge paana kaisa
Leave a Reply