zindagi aisi saza hai ki saza bhi to nahin
dil dhaḌakta hai dhaḌakne ki sada bhi to nahin
kya ḳhadd-o-ḳhal the kuchh yaad raha bhi to nahin
aisa bachhḌa koi muddat se mila bhi to nahin
ahaTen kya tire qadmon ki suna.i dengi
ab ki pahlu men dil naghma-sara bhi to nahin
rah-e-ishq bhaTak hi na sakin
itne tabinda nuqush-e-kaf-e-pa bhi to nahin
yuun tiri yaad men ik umr guzari ki mujhe
apni tanha.i ka ehsas hua bhi to nahin
kis ko rudad-e-gham-e-ishq suna.i jaa.e
dasht men aur koi abla-pa bhi to nahin
ek muddat se koi zaḳhm-e-dil-o-jan ‘nashtar’
be-niyaz-e-karam mauj-e-saba bhi to nahin
Leave a Reply