tasvir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
aTkheliyon se dil ko lubhana basant ka
har samt sabza-zar bichhana basant ka
phulon men rang-o-bu ko luTana basant ka
rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka
har har kali men rang dikhana basant ka
paigham-e-lutf-e-ḳhas sunana basant ka
dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka
qudrat ki barkaten hain ḳhazana basant ka
kya ḳhuub kya ajiib zamana basant ka
dil ko bahut aziiz hai aana basant ka
‘rahbar’ ki zindagi men samana basant ka
Leave a Reply