• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Izhaar Aur Rasai

Izhaar Aur Rasai

noon-meem-rashid

mu-qalam, saaz gul-e-taza thirakte paanv

baat kahne ke bahane hain bahut

aadmi kis se magar baat kare?

baat jab hila-e-taqrib-e-mulaqat na ho

aur rasai ki hamesha se hai kotah-kamand

baat ki ghayat-e-ghayat na ho!

ek zarra kaf-e-khakistar ka

sharar-e-jasta ke manind kabhi

kisi an-jani tamanna ki khalish se masrur

apne siine ke dahakte hue tannur ki lau se majbur

ek zarra ki hamesha se hai khud se mahjur

kabhi nairang-e-sada ban ke jhalak uthta hai

aab o rang o khat o mehrab ka paivand kabhi

aur banta hai maani ka khudavand kabhi

vo khudavand jo pa-basta-e-anat na ho!

isi ik zarre ki tabani se

kisi soe hue raqqas ke dast-o-pa men

kaanp uthte hain mah-o-sal ke niile girdab

isi ik zarre ki hairani se

sher ban jaate hain ik kuza-gar-e-pir ke khvab

isi ik zarra-e-la-fani se

khisht-e-be-maya ko milta hai davam

bam-o-dar ko vo sahar jis ki kabhi raat na ho!

aadmi kis se magar baat kare?

mu-qalam, saaz gul-e-taza thirakte paanv

aadmi sochta rah jaata hai,

is qadar baar kahan, kis ke liye, kaise uthaun

aur phir kis ke liye baat karun?

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Agar Ye Raat Hasin Hai to Din Jawan Nikal

aanis-moin

Bahar Bhi Ab Andar Jaisa Sannata Hai

Zamin Din-Raat Jal Rahi Hai

ainuddin-azim

Panw Phanse Mein Hath Chhudane Aaya Tha

abdul-mannan-tarzi

Apne Haalat Ka Asir Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet