Ittifaqan Mile the Wo Sar-E-Rah

ittifāqan mile the vo sar-e-rāh

phir na uTThī kisī taraf bhī nigāh

hai tabassum bajā.e ḳhud ik aah

ai ġham-e-āshiqī ḳhudā kī panāh

ġham uThātā huuñ shukr kartā huuñ

ishq-e-bechārgī ḳhudā kī panāh

zindagī is qadar zalīl na kar

ab vo milte bhī haiñ to bar-sar-e-rāh

be-ta.alluq bhī haiñ vo mujh se ‘rāz’

merī barbādiyoñ pe bhī hai nigāh

Leave a Comment