tabibon se nazar ki choT pahchani nahin jaati
pareshan hain ki kyon meri pareshani nahin jaati
kisi surat miri ashufta-samani nahin jaati
bayaban bas ga.e aur ghar ki virani nahin jaati
fana ke ghaaT tak gham ki sitam-rani nahin jaati
bahi jaati hain ankhen ashk-afshani nahin jaati
tumhara hukm hai vo hukm jo Taala nahin jaata
hamari baat hai vo baat jo maani nahin jaati
ḳhuda shahid hai main apni tabahi ka huun ḳhud baa.is
ab is ko kya karun us ki pareshani nahin jaati
‘hayat’-e-gham-zada ke dil ki virani ko mat puchho
hua hai aisa viran jis ki virani nahin jaati
Leave a Reply