itni uncha.i se dharti ki ḳhabar kya jaane
us ko miTTi ne hi paala hai shajar kya jaane
dafn hote na hasin ḳhvab adhure lekin
apne marne ki ghaḌi koi bashar kya jaane
jis musafir ka pata puchh rahe ho us ki
umr guzri hai masafat men vo ghar kya jaane
us ne nafrat ke siva aur kabhi kuchh na kiya
phir vo bad-zat mohabbat ka asar kya jaane
aaj mauqa hai to yaron se nibha lo yaari
kal phir ‘afrang’ rahe kaun kidhar kya jaane
Leave a Reply