itne din ke baad tu aaya hai aaj
sochta huun kis tarah tujh se milun
mere andar jaag uThi ik chandni
main zamin se asman tak ang huun
aur ujla ho gaya qurbat ka chand
aur gahra ho gaya tera fusun
ai sarapa rang-nik.hat tu bata
kis dhanak se tera pairahan banun
saare gul-buTe tar-o-taza hue
duur tak pahunchi hai meri mauj-e-ḳhun
kar rahe hain lamhe lamhe ka hisab
mil ke phir baiThe hain yaran-e-junun
dasht-e-gham ki dhuup men mujh par khula
main ḳhud apna saya-e-divar huun
naaz kar ḳhud par ki tu hai be-shumar
qadr kar meri ki main bas ek huun
Leave a Reply