• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Umr Bhar Ki Talkh Bedari Ka Saman Ho Gain

Umr Bhar Ki Talkh Bedari Ka Saman Ho Gain

akhtar-shirani

umr bhar ki talkh bedari ka saman ho gaiin

haae vo raten ki jo khvab-e-pareshan ho gaiin

main fida us chand se chehre pe jis ke nuur se

mere khvabon ki fazaen yusufistan ho gaiin

umr bhar kam-bakht ko phir niind aa sakti nahin

jis ki ankhon par tiri zulfen pareshan ho gaiin

dil ke pardon men thiin jo jo hasraten parda-nashin

aaj vo ankhon men aansu ban ke uryan ho gaiin

kuchh tujhe bhi hai khabar o sone vaale naaz se

meri raten lut gaiin ninden pareshan ho gaiin

haae vo mayusiyon men meri ummidon ka rang

jo sitaron ki tarah uth uth ke pinhan ho gaiin

bas karo o meri rone vaali ankhon bas karo

ab to apne zulm par vo bhi pashiman ho gaiin

aah vo din jo na aae phir guzar jaane ke baad

haae vo raten ki jo khvab-e-pareshan ho gaiin

gulshan-e-dil men kahan ‘akhtar’ vo rang-e-nau-bahar

arzuen chand kaliyan thiin pareshan ho gaiin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sahir-ludhianvi

Khuddariyon Ke Khun Ko Arzan Na Kar Sake

Kuchh Soch Ke Parwana Mahfil Mein Jala Hoga

ahmad-khayal

Jo Tere Gham Ki Girani Se Nikal Sakta Hai

De Ke KHud KHun Ka Manzar Mujhko

ahmad-husain-mail

Nikli Jo Ruh Ho Gae Ajza-E-Tan Kharab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet