duur duur sahra hai
aur dil akela hai
lafz lafz patthar hain
zakhm zakhm rasta hai
koh-e-jan uthae huun
bojh mera apna hai
zard zard hain kaliyan
aur baagh mahka hai
din ko mat kaho qisse
koi raah bhula hai
main ki ishq-e-pechan huun
tu shikasta chhajja hai
kyuun khamosh hai sabza
zahr pi ke soya hai
madrase ki inton par
sab kuchh ab bhi likkha hai
Leave a Reply