junun ke josh men jis ne mohabbat ko hunar jaana
subukdoshi samajhta hai vo is sauda men sar jaana
kisi ka naaz tha andaz tha ab sar-ba-sar jaana
udhar chaḌhna nigahon men idhar dil men utar jaana
tasavvur ḳhal-o-ariz ka tamasha-e-do-alam hai
yahan ankhon men rahna hai vahan dil men utar jaana
junun-e-ishq men kab tan-badan ka hosh rahta hai
baḌha jab josh-e-sauda ham ne sar ko dard-e-sar jaana
havas-bazi nahin ye ishq-bazi hai ḳhuda shahid
mohabbat men hai shart-e-avvalin ji se guzar jaana
miTa.i apni hasti ham ne ishq-e-jan-e-janan men
fana men dekh kar rang-e-baqa ko mo’tabar jaana
sarapa-e-vafa ik zinda-e-javed o be-gham hai
takalluf-bartaraf gham kya hai jiina aur mar jaana
hamari umr ka paimana ab labrez hai ‘sahir’
chhalakna farz ho jaata hai paimane ka bhar jaana
Leave a Reply