itna hai zindagi ka ta.alluq ḳhushi ke saath
ek ajnabi ho jaise kisi ajnabi ke saath
suraj ufuq tak aate hi gahna gaya yahan
kuchh tirgi bhi baḌhti rahi raushni ke saath
hukkam ka suluk vahi hai avaam se
ibn-e-ziyad ka tha jo ibn-e-ali ke saath
allah re taghaful-e-chara-garan-e-vaqt
sunte hain dil ki baat magar be-dili ke saath
tabqon men rang-o-nasl ke uljha ke rakh diya
ye zulm aadmi ne kiya aadmi ke saath
Leave a Reply