hamare zehn pe taari hai bebasi ab tak
ki puuri ho nahin paa.i tiri kami ab tak
tumhare ba.ad mire zaḳhm bharna duur ki baat
tumhare ba.ad udasi nahin ga.i ab tak
bahut purana ta.alluq ye un parindon se
magar main samjhi nahin un ki dosti ab tak
kisi ke saath ne jiine ka hausla baḳhsha
isi liye main na kar paa.i ḳhud-kushi ab tak
tumhare ba.ad kahin aur dil lagana tha
tumhare ba.ad ye mohlat nahin mili ab tak
tumhare ba.ad ujale se ho ga.i thi chiḌh
hamari aankh ko roti hai raushni ab tak
ham aise log jo andar se mar chuke kab ke
hamari laash hi dharti pe hai dhari ab tak
Leave a Reply