is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah
phuul phenka bhi miri samt to patthar ki tarah
us ke lab ko mire lab rah ga.e chhute chhute
main bhi nakam chala aaya sikandar ki tarah
rang suraj ka sar-e-sham hua jaata hai zard
us ka bhi ghar na ho viran mire ghar ki tarah
dard us ahd ki miras hai Darna kaisa
dard ko oḌh liya karte hain chadar ki tarah
log har lamha badalte hain nazariye apne
zehn-e-insan bhi tava.if ke hai bistar ki tarah
ab ki yurish men kahin gir hi na jaa.e ye fasil
shor rahta hai mire dil men samundar ki tarah
kaisa is ahd men paiman-e-vafa log ab to
dost har saal badalte hain calender ki tarah
lafz aate hi mire lab pe laraz jaate hain
hal-e-dil sunte hain ab vo kisi afsar ki tarah
vahi pabandi-e-auqat vahi ma.amulat
zindagi ghar men basar hoti hai daftar ki tarah
ho gaya ḳhak-nashin par ye jhuka.e na jhuka
kisi sar men bhi na sauda ho mire sar ki tarah
‘anjum’ is ahd men TuuTe hue dil ke rishte
joḌne par bhi hain udhḌe hue collar ki tarah
Leave a Reply