• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tumhein Han Kisi Se Mohabbat Kahan Hai

Tumhein Han Kisi Se Mohabbat Kahan Hai

poet

tumhen haan kisi se mohabbat kahan hai

zara dekhiye to vo surat kahan hai

bhala ab kisi se suno baat kya tum

tumhen apni baton se fursat kahan hai

har ik baat par roe se dete ho ab

vo shokhi kahan vo shararat kahan hai

pade rahte ho pahron hi munh lapete

vo jalsa kahan hai vo sohbat kahan hai

koi kuchh kahe ab tumhen kuchh na bolo

vo tezi kahan vo zarafat kahan hai

vo lag chalna har ik se aafat tumhara

vo tundi vo shokhi vo farhat kahan hai

koi janta bhi nahin ab to tum ko

vo pahli si khushbu men shohrat kahan hai

tumhin dekho aur ghair ki baten sunna

vo shaan ab kahan hai vo shaukat kahan hai

tumhen ho adu hi ka milna mubarak

adu ki si ham men liyaqat kahan hai

‘nizam’ aap hi aap aaega yaan par

yahan rashk sahne ki taqat kahan hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Ilahi Kya Kabhi Pure Ye Arman Ho Bhi Sakte Hain

neel-ahmed

Rihai

Lazzat-E-Ulfat Se Dil Masrur Hona Chahiye

poet

Aaine Ke Aks Se Gul Sa Badan Maila Hua

poet

Qadam Qadam Pe Wafa Ka Dayar Rah Mein Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet