alam ki had hai kahan be-kasi kahan tak hai
hamare gham men tumhari ḳhushi kahan tak hai
baja ki phuul ki do roza zindagi hogi
kali se koi ye puchhe kali kahan tak hai
farishte sajda-e-tazim par hue majbur
mira niyaz miri bandagi kahan tak hai
nazar ka qasd hi kab tha tire jamal ki diid
ye dekhna tha faqat raushni kahan tak hai
darindagi ka musalsal mahaz hai qaa.em
ye dekhne ke liye aadmi kahan tak hai
tumhare naam se duniya mujhe pukar uThi
tumhari zaat se vabastagi kahan tak hai
niyaz-mandi ko ehsas dekhna ye hai
mizaj-e-husn ki ashuftagi kahan tak hai
Leave a Reply