
Poet
is ki qudrat ki diid karta huun
roz nau-roz iid karta huun
mera ahval-e-faqr mat puchho
zohd misl-e-farid karta huun
roz bazar-e-mulk-e-hasti men
jins-e-isyan ḳharid karta huun
fat.h karne ko qalb-e-dil ka hisar
tegh-e-himmat kalid karta huun
bas-ki main tishna-e-shahadat huun
dil ko har-dam shahid karta huun
na main sunni na shii.a ne kafir
suufi huun sab ka viid karta huun
shaiḳh tu go ki pir-zada hai
rah tujhe main murid karta huun
apne ehsan-e-ḳhalq se ‘hatim’
aadmi ko abiid karta huun

Leave a Reply