• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai dil-E-Sozan Mein Tur Uski Tajalli-Gah Ka

Hai dil-E-Sozan Mein Tur Uski Tajalli-Gah Ka

imam-bakhsh-nasikh

hai dil-e-sozan men tuur us ki tajalli-gah ka

ru-e-atishnak har shola hai meri aah ka

vasl kya ham khaksaron ko ho is dil-khvah ka

khaak men aluda hona kab hai mumkin maah ka

nur-afshan jab se hai dil men khayal us maah ka

tuur ka shola dhuan hai meri sham-e-ah ka

qamat-e-mauzun nazar aae mujhe ja-e-alif

tha shuru-e-ashiqi din meri bismillah ka

samjhe mai-kash dekh kar abru tiri bala-e-chashm

mai-kade se martaba aala hai baitullah ka

amad-e-khat men to hone de nigahon ka guzar

dekh le bachne nahin paata hai sabza raah ka

khalq ne quran dekha jab hua mah-e-rajab

ham ne dekha mushaf-e-rukhsar apne maah ka

aate hi us tifl ke raushan siyah-khana hua

shama saan jalva hai us ke qamat-e-kotah ka

yaar ka ‘nasikh’ phata hai pairahan to aib kya

hai katan ko chaak karna kaam nur-e-mah ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zoam Ka Hi to Aariza Hai Mujhe

poet

Jab Bhi Ghar Ke Andar Dekhne Lagta Hun

Jo Tum Ho Do Qadam Aage to Hum Hain Do Qadam Pichhe

Hawa Ke Madd-E-Muqabil Raha Kisi Ke Liye

Sabz Hai Pairahan Chand Ka Aaj Phir

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet