jaane vaale tujhe kab dekh sakun bar-e-digar
raushni aankh ki bah ja.egi aansu ban kar
tu hissar-e-dar-o-divar liye jaa.e kidhar
mera kya hai ki main huun dasht-ba-dil ḳhana ba-sar
kaun jaane miri tanha.i-pasandi kya hai
bas tire zikr ka andesha tire naam ka Dar
yuun bhi ashkon ka dhundalka tha sujha.i na diya
kis ne luuTa dam-e-ruḳhsat sar-o-saman-e-safar
kis ne dekha hai mira shahr-e-ḳhamoshan-e-hayat
dil ki vaadi se guzarna hai to ahista guzar
ro raha huun ki tire saath hansa tha barson
hans raha huun ki koi dekh na le dida-e-tar
ye miri zaḳhm-e-nasibi ye tiri hairani
main ne tere hi ishara pe to Daali thi sipar
TuuT ja.ega nasha dekh koi naam na le
aankh bhar aa.egi is tarah mira jaam na bhar
koi gum-gashta har aghaz-e-safar se pahle
chuum leta hai tiri yaad ka bhari patthar
main ne har raat yahi soch ke aansu ponchhe
munh dikhana bhi hai duniya ko ba-hangam-e-sahar
‘shaz’ ko sabr ata kar ke baḌa kaam kiya
us ne kya manga tha kya paaya hai ai rabb-e-hunar
Leave a Reply