ishva kyuun dil-ruba nahin hota
ghamza kyuun hashr-za nahin hota
azma.en lahu ko rang-e-hina
khul gaya der-pa nahin hota
jaan dete ho un ke va.adon par
jin ka va.ada vafa nahin hota
aa.ina us ko deta hai targhib
jo koi ḳhud-numa nahin hota
kab nahin hoti fikr kis lamha
dosh par tasma-pa nahin hota
jis ki lau se chamak uThi hai mizha
aisa navak ḳhata nahin hota
zeb-e-tan jaama a.ina-paikar
koi pahlu chhupa nahin hota
sang kah kar pukariye us ko
dil jo dard-ashna nahin hota
khata hai aadmi nazar ke fareb
dida-e-dil jo va nahin hota
naale ko dastaras nahin na sahi
haath ḳhud kyuun rasa nahin hota
Leave a Reply