ishq un sab se alag sab se juda hota hai
chiḳhne rone taḌap lene se kya hota hai
yaad aata hai gale mil ke tira pachhtana
har na.i iid men ye ranj naya hota hai
jo bhala karta hai allah ke bandon ke liye
ghaib se us ka bhi har kaam bhala hota hai
guft-o-gu men ye nazakat hai ki allah allah
ek ik harf bhi mushkil se ada hota hai
qahr hota hai hasinon men jo hota hai matin
shoḳh hota hai jo un men vo bala hota hai
jiine deti hai kise pyaar ki surat kafir
dost to dost hai dushman bhi fida hota hai
tazkire husn ke sun husn ka dil-dada na ban
ba.az baton ke to sunne men maza hota hai
mah-jabin iid men angusht-numa kyuun na rahen
iid ka chand hi angusht-numa hota hai
phabtiyan ghair pe kasne ko hai maujud safi’
aur us pe kabhi hansiye to ḳhafa hota hai
Leave a Reply