ishq shabnam nahin sharara hai
raaz ye mujh pe ashkara hai
ik karam ki nigah kar diije
umr-bhar ka sitam gavara hai
raqs men hain jo saghar-o-mina
kis ki nazron ka ye ishara hai
aisi manzil pe aa gaya huun dost
tire gham ka faqat sahara hai
lauT aa.e hain yaar ke dar se
vaqt ne jab hamen pukara hai
dil na TuuTe to zarra-e-nachiz
kimiya hai jo paara paara hai
jam-e-rangin men un ka aks-e-jamal
ya shafaq men koi sitara hai
naav Takra chuki hai tufan se
apna murshid hi ab sahara hai
ishq karna hai maat kha jaana
us men jiita hua bhi haara hai
apne ‘darshan’ pe ik nigah-e-karam
ki gham-e-zindagi ka maara hai
Leave a Reply