ishq se bhaag ke jaaya bhi nahin ja sakta
naqsh-e-yak-khvab mitaya bhi nahin ja sakta
ham use dekh ke nazren bhi hata sakte nahin
aur use dekhne jaaya bhi nahin ja sakta
vo kahin khvab men poshida koi khvab sahi
der tak dard dabaya bhi nahin ja sakta
zer-e-lab hain jo sadaen koi sunta hi nahin
aur bahut shor machaya bhi nahin ja sakta
dil chhupaya kisi titli ke paron ke niche
ye chhupana to chhupaya bhi nahin ja sakta
raat ne giit sunaya tha kisi sub.h ka giit
giit aisa kahin gaaya bhi nahin ja sakta
ik naya rang udaya hai in aankhon se ‘ata’
rang rangon men milaya bhi nahin ja sakta
Leave a Reply