girte hain log garmi-e-bazar dekh kar
sarkar dekh kar miri sarkar dekh kar
avargi ka shauq bhadakta hai aur bhi
teri gali ka saya-e-divar dekh kar
taskin-e-dil ki ek hi tadbir hai faqat
sar phod lijiye koi divar dekh kar
ham bhi gae hain hosh se saaqi kabhi kabhi
lekin tiri nigah ke atvar dekh kar
kya mustaqil ilaaj kiya dil ke dard ka
vo muskura diye mujhe bimar dekh kar
dekha kisi ki samt to kya ho gaya ‘adam’
chalte hain rah-rau sar-e-bazar dekh kar
Leave a Reply