dhuup men jalte hain tab saaya banta hai
baḌe jatan se koi apna banta hai
saare bikhre ḳhvab ikaTTha karne par
ek mukammal tera chehra banta hai
ghar ke donon janib dar lagva.e hain
ab to tera dastak dena banta hai
pyaar karo to ek ḳharabi ye bhi hai
had darje ka yaar tamasha banta hai
us ka pahlu sirf mayassar hai mujh ko
ya.ani mera itna banna banta hai
Leave a Reply