• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ishq Ko dil Mein Chhupa Lete Hain Kaamil Kyunkar

Ishq Ko dil Mein Chhupa Lete Hain Kaamil Kyunkar

poet

ishq ko dil men chhupa lete hain kamil kyunkar

un par asan hua karti hai mushkil kyunkar

hadaf-e-navik-e-mizgan-o-kaman abru tha

na tadapta shab-e-furqat dil-e-bismil kyunkar

apne bimar-e-mohabbat ko bhi lete jaao

tum chale jaate ho pahlu men rahe dil kyunkar

sar kata kar tire kuche men yahi dekhunga

surakh-ru hota hai khanjar tira qatil kyunkar

mirat-e-dil ki safai vo kahan paega

aaina hoga rukh-e-yar ke qabil kyunkar

ye tamasha bhi mire dil ko jila kar dekho

shama hasrat se jali bar-sar-e-mahfil kyunkar

bahr-e-ulfat men bhi vahshat thi dil-e-gham-ghin ko

rakhta aghosh men phir daman-e-sahil kyunkar

dekhna lutf dam-e-qatl zara ai qatil

khak-o-khun men hua ghaltan tira bismil kyunkar

zer-e-khanjar mire khuun ne use ud kar thama

us ke panje se chhute daman-e-qatil kyuun kar

dekhna gar ho to aao main dikha duun tum ko

ban gaya shekh-e-haram but-kada-e-dil kyunkar

raz-e-sar-basta ‘jamila’ main kahun kya tujh se

ho gaya mera ye dil arif-e-kamil kyunkar

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ho Sake to Mujhe Ek Sham Inayat Karna

Sufi

Tumhein Gila Hi Sahi Hum Tamasha Karte Hain

Apni Lau Mein Koi Duba Hi Nahin

Sham Se Gahra Chand Se Ujla Ek KHayal

Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet