qasid to liye jaata hai paigham hamara
par darte hue le jo vahan naam hamara
kya taab hai jo samne thahre koi us ke
aafat hai ghazab hai vo dil-aram hamara
aghaz ne to ishq ke ye haal dikhaya
ab dekhiye kya hovega anjam hamara
ai charkh isi tarah tu gardish men rahega
par tujh se na niklega kabhu kaam hamara
ai pir-e-mughan dekhiyo ‘asif’ ye kahe hai
khali na rahe mai se sada jaam hamara
Leave a Reply