hote khuda ke us but-e-kafir ki chaah ki
itni to baat mujh se hui hai gunah ki
soz-e-darun kiya jo mira shama ne bayan
jal kar zaban kaat li mere gavah ki
bharta hai aaj khuub tarare samand-e-naz
qumchi hai un ke haath men zulf-e-siyah ki
dekha huzur ko jo mukaddar to mar gae
ham mit gae jo aap ne maili nigah ki
furqat men yaad aae jo lutf-e-shab-e-visal
ik aah bhar ke janib-e-gardun nigah ki
sunsan kar diya mire pahlu ko le ke dil
zalim ne luut kar miri basti tabah ki
vo mujh se kah rahe hain isharon men dekhna
sab taad jaenge sar-e-mahfil jo aah ki
ham vo the dil hi dil men kiya zabt-e-raz-e-ishq
sadme utha ke mar gae munh se na aah ki
afsos hai ki main to phirun dar-ba-dar kharab
tum ko khabar na ho mire hal-e-tabah ki
‘jauhar’ khuda ke fazl se aisi ghazal kahi
shohrat mushaire men hui vah-vah ki
Leave a Reply