• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Ko Aankh Mein Jalte dekha

Ishq Ko Aankh Mein Jalte dekha

najma-shaheen-khosa

ishq ko aankh men jalte dekha

phuul ko aag men khilte dekha

ishq ke raaz na puchho sahab

ishq ko daar pe chadhte dekha

ishq ke daam bhi lag jaate hain

misr men us ko bikte dekha

ishq hai vajib us ko ham ne

jism aur jaan men utarte dekha

us ko havas ka naam na dena

lauh pe us ko likhte dekha

arsh bhi hairat se takta tha

dasht men us ko palte dekha

ishq anokha manzar jis men

raaz ko khvab men dhalte dekha

hijr ka zakhm to zakhm hai aisa

bakhiya-garon se bhi khulte dekha

ishq vo baagh hai jis ko ham ne

hijr ki rut men mahakte dekha

gham kya hijr aur visal ka us ko

ishq men jis ko bhatakte dekha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na De Saqi Mujhe Kuchh Gham Nahin Hai

shabnam-shakeel

Ham-Nashino Kuchh Nahin Rakkha Yahan Par Kuchh Nahin

Humne KHud chheDa Hai zaKHmon Ko Hara Rakhna Tha

poet

Kaleja Munh Ko Aaya Aur Nafas Karne Laga Tangi

Ye Bhul Ja Ki Hain Tere Bhi Gham-Gusar Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet