ishq ki mere jo shohrat ho gai
yaar se mujh ko nadamat ho gai
khaak arz-e-muddaa us se karun
jis ko baton men kudurat ho gai
yaan se jaane ko hain vo achuk kahin
kya bala ai abr-e-rahmat ho gai
ab sitam aghyar par karne lage
mere mar jaane se ibrat ho gai
jalva-e-maani nazar aane laga
piite piite mai ye surat ho gai
un ki baten us ne bhi chhup kar sunin
aaj naseh ko nasihat ho gai
mana-e-vasl-e-ghair par hans kar kaha
baare ab tum ko bhi ghairat ho gai
bu-e-gul us gul ki bu ke ru-ba-ru
fil-haqiqat be-haqiqat ho gai
bas na farmate phiro ye ‘shefta’
go unhen tum se mohabbat ho gai
Leave a Reply