• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Karne Mein dil Bhi Kya Hai Shokh

Ishq Karne Mein dil Bhi Kya Hai Shokh

poet

ishq karne men dil bhi kya hai shokh

saikadon men se ik chuna hai shokh

ye bhi shokhi nai nikali hai

aaj dushman se kuchh khafa hai shokh

apni ankhon men raat din rakh kar

main ne khud us ko kar diya hai shokh

ashk-e-khun mere dekh kar bole

is se to kuchh miri hina hai shokh

aankh se gir ke god men machla

tifl-e-ashk aisa ho gaya hai shokh

bosa har vaqt rukh ka leta hai

kis qadar gesu-e-dota hai shokh

chhedti hai tumhare zulfon ko

kis bala ki magar saba hai shokh

bar men aina ke liya na qarar

jan-e-man aks bhi tira hai shokh

phir gai duur se dikha ke jhalak

hijr men ai ‘sakhi’ qaza hai shokh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Haqq-E-Neamat Ada Nahin Hota

Mere Wajud Ka Mehwar Chamakta Rahta Hai

Hawa-E-Zindagi Bhi Kucha-E-Qatil Se Aati Hai

KHWAJA GHULAM FARID

Pardes dehon didan Adyan We Yar

akhtar-ul-iman

Bulawa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet