• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Husn Paband-E-Jafa Ho Jaise

Husn Paband-E-Jafa Ho Jaise

poet

husn paband-e-jafa ho jaise

ye koi ḳhaas ada ho jaise

yuun tiri yaad hai mire dil men

kisi marghaT men diya ho jaise

ho gaya suukh ke kanTa har phuul

ye mahakne ki saza ho jaise

meri furqat ka gham-agin aalam

chhup ke tu dekh raha ho jaise

kashtiyan gharq hui jaati hain

naḳhuda ho na ḳhuda ho jaise

allah allah tira andaz-e-ḳhiram

har qadam mauj-e-saba ho jaise

kitni pur-kaif hai ye zulmat-e-shab

teri zulfon ki ghaTa ho jaise

tere honTon pe tabassum tauba

mah-o-anjum ki ziya ho jaise

un se karta huun taghaful ka gila

ishq men ye bhi rava ho jaise

is tarah ishq se dil-shad hain ham

yahi har gham ki dava ho jaise

us se aati nahin ab koi sada

saz-e-dil TuuT gaya ho jaise

dekh kar tujh ko ye hota hai guman

tu mire dukh ki dava ho jaise

un ko yuun DhunD raha huun ‘parvez’

ishq se husn juda ho jaise

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Zehn Ashkal Ko Zanjir Nahin Kar Paya

Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka zaKHm

poet

Jo Hai Arsh Par Wahi Farsh Par Koi KHas Us Ka Makan Nahin

poet

Zabt Kar Aah Bar Bar Na Kar

fahmida-riaz

Tiflan Ki To Kuchh Taqsir Na Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet