Ishq-Jai Kahan Se Aai Hai

ishq-jā.ī kahāñ se aa.ī hai

ye judā.ī kahāñ se aa.ī hai

jab ga.ī thī javān laḌkī thī

būḌhī maa.ī kahāñ se aa.ī hai

maiñ nikammā huuñ māntā bhī huuñ

kāmyābī kahāñ se aa.ī hai

is mohabbat ko ḳhud hī chhoḌā thā

jā chukī thī kahāñ se aa.ī hai

maiñ tumhāre baġhair mar jā.ūñ

itnī hastī kahāñ se aa.ī hai

ishq kartī hai tū namāzoñ se

nek laḌkī kahāñ se aa.ī hai

be-vafā hai ‘vaqās۔yūsuf’ bas

saaf suthrī kahāñ se aa.ī hai

Leave a Comment