ishq-e-dahan men guzri hai kya kuchh na puchhiye
naguftani hai haal mira kuchh na puchhiye
kya dard-e-ishq ka hai maza kuchh na puchhiye
kahta hai dil kisi se dava kuchh na puchhiye
mahshar ke daghdaghe ka main ahval kya kahun
hangama jo hua so hua kuchh na puchhiye
jab puchhiye to puchhiye kya guzri ishq men
ham se to aur us ke siva kuchh na puchhiye
kya kya ye sabz baagh dikhati hai nazaa men
dam de rahi hai jo jo qaza kuchh na puchhiye
puchha jo ham ne gor-e-ghariban ka ja ke haal
aai ye turbaton se sada kuchh na puchhiye
qismat se paiye jo kabhi us ko khush-mizaj
kya kuchh na kahiye yaar se kya kuchh na puchhiye
ragdi hain ediyan to hui hai ye mustajab
kis ajizi se ki hai dua kuchh na puchhiye
chhoda jo murda jaan ke sayyad ne mujhe
kyunkar uda main ho ke riha kuchh na puchhiye
tarsa kiya main daulat-e-didar ke liye
qismat ne jo suluk kiya kuchh na puchhiye
ulfat ka naam le ke nazar-band ho gae
paai jo pyaar kar ke saza kuchh na puchhiye
kya sarguzisht gor-e-ghariban ki main kahun
ahval-e-bandagan-e-khuda kuchh na puchhiye
khushbu ne aap ki jo sar-afraz use kiya
kis naaz se chali hai saba kuchh na puchhiye
puchha ‘sharaf’ ke marne ka un se jo vaqia
ankhon men ashk bhar ke kaha kuchh na puchhiye
Leave a Reply