dard thahre to zara dil se koi baat karen
muntazir hain ki ham apne se mulaqat karen
din to avazon ke sahra men guzara lekin
ab hamen fikr ye hai khatm kahan raat karen
meri tasvir adhuri hai abhi kya malum
kya miri shakl bigadte hue halat karen
aur ik taaza taaruf ka bahana dhunden
un se kuchh un ke hi baare men savalat karen
aao do-char ghadi baith ke ik goshe men
kisi mauzua pe iz.har-e-khayalat karen
Leave a Reply