• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Tarah Duniya Mein Dil Ko Mahram-E-Gham Kijiye

Is Tarah Duniya Mein Dil Ko Mahram-E-Gham Kijiye

is tarah duniya men dil ko mahram-e-gham kijiye

jab ḳhushi koi mayassar ho to matam kijiye

ishq se phir silsila jumbani-e-gham kijiye

zindagi par maut ko pahle muqaddam kijiye

husn ki janib nigah-e-shauq ya kam kijiye

ya nigah-e-shauq ko ik ahd-e-mohkam kijiye

maut ka kya maut ka to sau tarah gham kijiye

zindagi nashad ka kis tarah matam kijiye

dekh kar ahl-e-tarab ka saz-o-saman-e-tarab

bad-nasibon ka zara andaza-e-gham kijiye

jaane kis aalam ki hasrat men hain nazren muztarib

varna kya nazzara-e-husn-e-do-alam kijiye

ab junun ki sarhadon se aa mila hai josh-e-ishq

kuchh samajh kar ab nigah-e-husn barham kijiye

ahl-e-ishrat apni bazm-e-aish-o-ishrat ke qarib

ehtiyatan mun.aqid ik bazm-e-matam kijiye

ansuon ka ponchhne vaala hi jab koi na ho

aah kis ummid par ankhon ko pur-nam kijiye

gham ko hone dijiye ho jis qadar manus dil

dil ko jitna ho sake begana-e-gham kijiye

phir qafas se lauT kar aa.e chaman men phir vahi

ashiyan ke vaste tinke faraham kijiye

hain nigahon ki hadon se duur abhi bebakiyan

shoḳh chitvan se ghurur-e-husn ko kam kijiye

ta-kuja avara-e-nazzara chashm-e-husn-e-dost

jam.a ik markaz pe kyuun kar husn-e-alam kijiye

har ḳhushi ne is natije par hamen pahuncha diya

jab ḳhushi koi mayassar ho to matam kijiye

aarzu se baḌh ke dushman koi insan ka nahin

jis qadar mumkin ho ‘bismil’ aarzu kam kijiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aai Bahaar Daur Ho Saqi Sharab Ka

Main Nam-Lewa Hun Tera Tu Moatabar Kar De

poet

Jata Na Mere Tain Apna Tu Hunar Waiz

ahsan-marahravi

Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana

Kaghaz Ke Bane Phul Jo Gul-Dan Mein Rakhna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet