• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Tarah baiThe Ho Kyun Be-Zar Se

Is Tarah baiThe Ho Kyun Be-Zar Se

is tarah baiThe ho kyuun be-zar se

bhar gaya dil rahat-e-didar se

ashk kya Dhalka tire ruḳhsar se

gir paḌa huun jaise main kohsar se

dar khula to meri hi janib khula

sar paTaḳhta rah gaya divar se

ek din ḳhamosh ho kar dekhiye

lutf gar uThne lage takrar se

dekh lo ye zard ankhen ḳhushk honT

puchhte ho haal kya bimar se

qadr kijiye faiz jis jis se mile

saya-e-divar hai divar se

kal mubada ho yahan viraniyan

Dar raha huun garmi-e-bazar se

jhuuT chalta hai magar ik aadh baar

ai qasida-ḳhvan hazar takrar se

bik rahi hai zindagi ke mol maut

ja.iye le aa.iye bazar se

mangte hain vote is par tantana

pech-o-ḳham nikle nahin dastar se

band kar T v ki ḳhabren be-ḳhabar

chal koi column suna aḳhbar se

dosti ki mahfilen qaa.em rahen

ye dua hai apni palanhar se

tujh men ‘ahmad’ aib hain lakhon magar

vasta hai tera kis sattar se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHauf Ke Sail-E-Musalsal Se Nikale Mujhe Koi

poet

Basti Basti Ghor Andhera Suna Suna Jada Tha

Jab Chaha Iqrar Kiya Hai Jab Chaha Inkar Kiya

Tere Gulzar Ki KHushbu Se Saja Rahta Hai

poet

Mere Qarib Se Guzra Ek Ajnabi Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet