apni ankhon se to dariya bhi sarab-asa mile
jo bhi naqd-e-jan luTane aa.e ham se aa mile
ab vafa ki raah par har samt sannaTa mile
ahl-e-dil ke karvan kin manzilon se ja mile
lap pe gar naghma nahin palkon pe hi taara mile
gul nahin khilte to koi zaḳhm hi khilta mile
rang-o-bu ke pairahan men phuul hain ya zaḳhm hain
ab na vo kaliyan na vo patte na vo saaya mile
imtihan tha maslahat thi ya miri taqdir thi
main gulistanon ka talib tha mujhe sahra mile
umr-bhar har ek se main ne chhupa.e dil ke daagh
aaj ye hasrat ki koi dekhne vaala mile
main ne jin ankhon men dekhe the samundar maujzan
un men jo bhi Dubne vaala mile pyasa mile
naaz us ka pasban andaz us ka ham-zaban
ḳhalvaton men bhi vo mujh se anjuman-ara mile
aaj phir chheḌunga main mahtab ki kirnon ke taar
kaash imshab to mile ya koi tujh jaisa mile
aankh sau rangon ki talib hosh sau rangon ka zaḳhm
dil ko ye zid hai ki teri aarzu tanha mile
ajnabi rahen bhi ‘sadiq’ ajnabi rahen na thiin
jab kisi ke jane-pahchane nuqush-e-pa mile
Leave a Reply