is shahr-e-kaj-kulah ke asar dekhna
aur khud ko be-rida sar-e-bazar dekhna
vo mere badban ka khulna hava ke saath
aur mud ke tera janib-e-rahvar dekhna
ashob-e-khisht-o-khak se ji ko amaan kahan
phir us pe rang-e-shisha-e-pindar dekhna
ab ke lagan kaun uthane ko aaega
ab ke saron ki fasl hai tayyar dekhna
masnad-nashin-e-shahr-e-kharabat kaun ho
kis se sambhal sakegi ye dastar dekhna
gah is fasil-e-yad ki qindil par nigah
gah asp-e-harf-o-khvab ki raftar dekhna
jis men gharib-e-shahr ki beti chuni gai
ai mere shahr-e-yar vo divar dekhna
Leave a Reply