agar mohabbat ke mudda.i ho to ye ravayya rava nahin hai
jo shikva hai ru-ba-ru nahin hai jo baat hai barmala nahin hai
ye roz-e-tajdid-e-ahd-e-ulfat ye roz paiman-e-dil-navazi
hazar taslim kar raha huun magar yaqin-e-vafa nahin hai
hai tere kafir-shabab se ḳhuub meri ma.asum mai-gusari
surur ki ek had hai qaa.em ghurur ki intiha nahin hai
ajab nahin zahmat-e-vafa se mujhe kisi din najat de de
yahi miri be-zaban mohabbat jo dar-ḳhur-e-e’tina nahin hai
na jaane kis kis se dil laga kar vafa se mayus ho chuka huun
nazar pareshan-e-shash-jihat hai koi bhi dard-ashna nahin hai
jata ke majburi-e-mohabbat umid-e-mehr-o-vafa ke ma.ani
main ḳhud huun apna sukun-e-dushman kisi ki koi ḳhata nahin hai
baja baja be-shumar aariz nazar nazar ko taras rahe hain
magar ye dil ka mo.amla hai nigah ka vasta nahin hai
Leave a Reply