
Ahmad Hamesh
main nahin janta ki yahan se kisi ne mujh se kuchh kaha
ya vahan se kisi ne tum se kuchh kaha
ya kisi ne kuchh bhi nahin kaha
to bina kuchh kahe hue hi kuchh sun liya hoga
niind men chalte hue aadmi ke liye
hamvar raah bhi khaai ban jaati hai
aur kahin bhi girne ke liye
girne vaale ko bhi kuchh bataya nahin jaata
aur agar girane vaala khuda ke dil men baitha ho
to girne vaale ko
mahz ye batane ke liye ki chalo utho
tumhen giraya jaane vaala hai
to kya vo use dekh sakta hai
so kyuun na baat vahin se shurua ki jaae
jahan se aadmi ki zaat ne hi
aadmi ki zaat se kaha
ki agar saat samundaron se bhi badh kar
tumhare aansu aur tumhare gham honge
to chalo mil ke baant lenge
aur tumhen itna hansaen
ki jivan bhar kabhi rone ke liye
ek aansu bhi nahin milega
magar vo ye nahin janti hogi
ki kabhi niind ko niind aa jaati hai
bilkul vaise hi
jaise maut ko bhi maut aati hai
koi soya hua ped bhi
kisi soe hue ped men so jaata hai
aur yahi vo samay hota hai
jab zindagi ke tamam kaam
bahut khuub karte hue
aadmi ki nazar ke samne bhi
tarik divar aa jaati hai
so yahan tak pahunch ke maalum hua
ki kuchh bhi to nahin tha
ki agar kuchh hota bhi
to us ke hone se pahle
bahut kuchh ho chuka hota
koi kisi ke liye kabhi nahin jaaga
koi kisi ke liye kabhi nahin roya
koi kisi ke liye kabhi nahin jala
koi kisi ke liye kabhi nahin bujha
kisi bahut bade jhuut se mile hue
kisi bahut bade sach men
na koi jhuut milta hai na koi sach

Leave a Reply