is saal sharafat ka libada nahin pahna
pahna hai magar itna ziyada nahin pahna
us ne bhi ka.i roz se ḳhvahish nahin oḌhi
main ne bhi ka.i din se irada nahin pahna
dauḌe hain magar sehn se bahar nahin dauḌe
ghar hi men rahe paanv men jaada nahin pahna
abad hue jab se yahan tang-nazar log
is shahr ne mahaul kushada nahin pahna
darvesh nazar aata tha har haal men lekin
‘sajid’ ne libas itna bhi saada nahin pahna
Leave a Reply