is ek Dar se ḳhvab dekhta nahin
main jo bhi dekhta huun bhulta nahin
kisi munDer par koi diya jala
phir is ke baad kya hua pata nahin
abhi se haath kanpne lage mire
abhi to main ne vo badan chhua nahin
main aa raha tha raste men phuul the
main ja raha huun koi rokta nahin
tiri taraf chale to umr kaT ga.i
ye aur baat rasta kaTa nahin
main raah se bhaTak gaya to kya hua
charagh mere haath men to tha nahin
main in dinon huun ḳhud se itna be-ḳhabar
main mar chuka huun aur mujhe pata nahin
us azhdahe ki aankh puchhti rahi
kisi ko ḳhauf aa raha hai ya nahin
ye ishq bhi ajab ki ek shaḳhs se
mujhe laga ki ho gaya hua nahin
ḳhuda kare vo peḌ ḳhairiyat se ho
ka.i dinon se us ka rabta nahin
Leave a Reply